Wednesday, 10 October 2018

MUSTAFA KHAIRUL WARA HO


Mustafa khairul wara ho
Sarware har do sara ho

Apne achho ka tasadduq
Hum badon ko bhi niba ho

Kiske fir ho kar rahe hum
Gar tumhi humko na chaho

Badd hanse tum unki khaatir
Raat bhar rou karaho

Badd kare har dam burayi
Tum kaho unka bhala ho

Ham wahi nashusta ru hai
Tum wahi bahre ataa ho

Hum wahi shayane rad hai
Tum wahi shaan-e-sakhaa ho

Hum wahi be sharmo badd hai
Tum wahi kaan-e-haya ho

Hum wahi nange zafa hai
Tum wahi jaan-e-wafa ho

Hum wahi kabil saz ke
Tum wahi rehme khuda ho

Charkh badle dahar badle
Tum badalne se wara ho

Ab hume ho sahw hasha
Aisi bhulo se juda ho

Umr bhar to yaad rakha
Waqt par kyu bhulna ho

Waqte paidaish na bhule
Qaif yansa kyu kaza ho

Ye bhi maula arz kar du
Bhula agar jao to kya ho

Wo ho jo tum par giran hai
Wo ho to hargiz na chaho

Wo ho jiska naam lete
Dushmano ka dil bura ho

Wo ho jiske radd ki khaatir
Raat din wakf-e-dua ho

Mar mite barbaad bande
Khana aabad aagh ka ho

Shaad ho ibleese malu.n
Ghum kise is kahar ka ho

Tumko wo wallah tum ko
Jaan-o-dil tum par fida ho

Tumko ghum se haq bachae
Ghum adu ko jaan guza ho

Tumse ghum ko kya ta'alluk
Be-kaso ke ghumzada ho

Haq durude tum pe bheje
Tum mudaan usko saraho

Wo ataa de tum ataa lo
Wo wahi chahe jo chaho

Bar tu un paashad tu bar ma
Ta abad ye silsila ho

Kyun Raza mushkil se dariye
Jab Nabi mushkil kusha ho

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.