Soona jangal raat andheri chaai badli kaali hai
Sone wale jagte rahiyo choron ki rakhwali hai
Ankh se kajal saaf chura lain yan woh chor bala ke hai
Teri takri takee hain aur tu ne neend nikali hai
Ye jo tujh ko bulata hai ye thag hai maar hi rakhe ga
Ae musafir dam main na ana mat kaisi matwali hai
Sona paas hai soona ban hai sona zehar hai uth pyare
Tu kehta hai meethi neend hai teri mat hi nirali hai
Ankhen mal na jhunjna par na lakh jamahi angdai
Are nam pe uthne ke ladta hai uthna bhi kuch gaali hai
Badal garje bijli tarke dhak se kaleja ho jaae
Ban mai ghata ki bhayanak soorat kaisi kaali kaali hai
Paaon utha aur thokar khaayi kuch sambhla phir aondhe mon
Neend ne phislan kar di hai aur dhortak khayi naali hai
Saathi saathi keh ke pukaron saathi ho tu jawab aaye
Phir jhunjla kar sir de patko chal re mola wahi hai
Tum to chand Arab ke ho pyare tum to ajam ke sooraj ho
Dekho mujh bekas par sab ne kaisi afat daali hai
Shahad dikhaye zehar pilaye qaatil daen shohar kush
Iss murdar pe kya lalchaya dunya dekhi bhaali hai
Woh tu nihayat sasta souda bech rahe ho janna ka
Hum muflis kya chukayen apna haath hi khali hai
Mola tere afw-o-karam ho mere gawah safai ke
Warna Raza se chor pe teri digri tu iqbali hai

No comments
Post a Comment