Vo firaq aur vo visal kahan
Vo shab-o-roz o mah-o-sal kahan
Fursat-e-karobar-e-shauq kise
Zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
Dil to dil vo dimagh bhi na raha
Shor-e-sauda-e-khatt-o-khal kahan
Thi vo id shakhs ke tasavvur se
Ab vo ranai-e-khayal kahan
Aisa asan nahin lahu rona
Dil mei taqat jigar mei haal kahan
Ham se chhuta qimar-khana-e-ishq
Vaan jo javen girah mei maal kahan
Fikr-e-duniya mei sar khapata hun
Main kahan aur ye vabal kahan
Muzmahil ho gae qava 'Ghalib'
Par mujhe taqat-e-saval kahan
Falaq-e-sifla be-muhaba hai
Is sitam-gar ko infial kahan


No comments
Post a Comment