Wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha
Raz-e-maktub ba-be-rabti-e-unvan samjha
Yak alif besh nahin saiqal-e-aaina hanuz
Chaak karta hun main jab se ki gareban samjha
Sharh-e-asbab-e-giriftari-e-khatir mat puchh
Is qadar tang hua dil ki main zindan samjha
Bad-gumani ne na chaha use sargarm-e-khiram
Rukh pe har qatra dida-e-hairan samjha
Ijz se apne ye jaana ki vo bad-khu hoga
Nabz-e-khas se tapish-e-shola-e-sozan samjha
Safar-e-ishq mei ki zoaf ne rahat-talabi
Har qadam saae ko main apne shabistan samjha
Tha gurezan mizha-e-yar se dil ta dam-e-marg
Daf-e-paikan-e-qaza is qadar asan samjha
Dil diya jaan ke kyun us ko vafadar 'Asad'
Ghalati ki ki jo kafir ko musalman samjha
Ham ne vahshat-kada-e-bazm-e-jahan mei juun shama
Shoala-e-ishq ko apna sar-o-saman samjha


No comments
Post a Comment