Tum apne shikve ki baten na khod khod ke puchho
Hazar karo mere dil se ki is mei aag dabi hai
Dida ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki akhir
Na girya-e-sahari hai na ah-e-nim-shabi hai
Nazar ba-naqs-e-gadayan kamal-e-be-adabi hai
Ki khar-e-khushk ko bhi dava-e-chaman-nasabi hai
Huwa visal se shauq-e-dil-e-haris ziyada
Lab-e-qadah pe kaf-e-bada josh-e-tishna-labi hai
Khusha vo dil ki sarapa tilism-e-be-khabari ho
Junun o yaas o alam rizq-e-muddaa-talabi hai
Chaman mei kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamasha
Ki barg barg-e-saman shisha reza-e-halabi hai
Imam-e-zahir-o-batin amir-e-surat-o-maani
'Ali' vali asadulla janashin-e-nabi hai


No comments
Post a Comment