Tum jaano tum ko ghair se jo rasm-o-rah ho
Mujh ko bhi puchhte raho to kya gunah ho
Bachte nahin muvakhaza-e-roz-e-hashr se
Qatil agar raqib hai to tum gavah ho
Kya vo bhi be-gunah-kuch o haq-na-shanas hain
Maana ki tum bashar nahin khurshid o maah ho
Ubhra huwa naqab mei hai un ke ek taar
Marta hun hain ki ye na kisi ki nigah ho
Jab mai-kada chhuta to phir ab kya jagah ki qaid
Masjid ho madrasa ho koi khanqah ho
Sunte hain jo bahisht ki tarif sab durust
Lekin khuda kare vo tera jalva-gah ho
'Ghalib' bhi gar na ho to kuchh aisa zarar nahin
Duniya ho ya rab aur mera badshah ho


No comments
Post a Comment