Tu dost kisu ka bhi sitamgar na huwa tha
Auron pe hai vo zulm ki mujh par na huwa tha
Chhoda mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-qaza ne
Khurshid hunuz us ke barabar na huwa tha
Taufiq ba-andaza-e-himmat hai azal se
Ankhon mei hai vo qatra ki gauhar na huwa tha
Jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka aalam
Main motaqid-e-fitna-e-mahshar na huwa tha
Main sada-dil azurdagi-e-yar se khush hun
Yaani sabaq-e-shauq mukarrar na huwa tha
Dariya-e-maasi tunuk-abi se huwa khushk
Mera sar-e-daman bhi abhi tar na huwa tha
Jaari thi 'Asad' dagh-e-jigar se meri tahsil
Atish-kada jagir-e-samundar na huwa tha


No comments
Post a Comment