Tere tausan ko saba bandhte hain
Ham bhi mazmun ki hava bandhte hain
Aah ka kis ne asar dekha hai
Ham bhi ek apni hava bandhte hain
Teri fursat ke muqabil ai umr
Barq ko pa-ba-hina bandhte hain
Qaid-e-hasti se rihai malum
Ashk ko be-sar-o-pa bandhte hain
Nashsha-e-rang se hai vashud-e-gul
Mast kab band-e-qaba bandhte hain
Ghalati-ha-e-mazamin mat puchh
Log naale ko rasa bandhte hain
Ahl-e-tadbir ki vamandgiyan
Ablon par bhi hina bandhte hain
Saada purkar hain khuban 'Ghalib'
Mere hathon ko juda bandhte hain
Husn-e-afsurda-e-dili-ha-rangin
Shauq ko pa-ba-hina bandhte hain
Qaid mei bhi hai asiri azad
Chashm-e-zanjir ko va bandhte hain
Shaikh-ji kaabe ka jaana malum
Aap masjid mei gadha bandhte hain
Kis ka dil zulf se bhaga ki 'Asad'
Dast-e-shana ba-qaza bandhte hain
Tere bimar pe hain fariyadi
Vo jo kaghaz mei dava bandhte hain


No comments
Post a Comment