Thiik hai khud ko ham badalte hain
Shukriya mashvarat ka chalte hain
Ho raha huun main kis tarah barbad
Dekhne vaale haath malte hain
Hai vo jaan ab har ek mahfil ki
Ham bhi ab ghar se kam nikalte hain
Kya takalluf karen ye kahne mei
Jo bhi khush hai ham us se jalte hain
Hai use duur ka safar dar-pesh
Ham sambhale nahin sambhalte hain
Tum bano rang tum bano khushbu
Ham to apne sukhan mei dhalte hain
Main oosi tarah to bahalta huun
Aur sab jis tarah bahalte hain
Hai ajab faisle ka sahra bhi
Chal na padiye to paanv jalte hain


No comments
Post a Comment