Go sab ko baham saghar o baada to nahin tha
Ye shahr udaas itna ziyada to nahin tha
Galiyon mei phira karte the do chaar deewane
har shakhs ka sad chaak labada to nahin tha
Manzil ko na pahchane rah-e-ishq ka raahi
Nadaan hi sahi aesa bhi saada to nahin tha
Thak kar yuhi pal bhar ke liye aankh lagi thi
So kar hi na utthe ye irada to nahin tha
Vaaiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat
Farq in mei koi itna ziyada to nahin tha


No comments
Post a Comment