Mat mardumak-e-dida mei samjho ye nigahen
Hain gama suvaida-e-dil-e-chashm mei aahen
Kis dil pe hai azm-e-saf-e-mizhgan-e-khud-ara
Aaine ke payab se utri hain sipahen
Dair-o-haram aaina-a-takrar-e-tamanna
Vamandagi-e-shauq tarashe hain panahen
Juun mardumak-e-chashm se hon jama nigahen
Khvabida ba-hairat-kada-e-dagh hain aahen
Phir halqa-e-kakul mei padin diid ki rahen
Juun duud faraham huiin rauzan mei nigahen
Paaya sar-e-har-zarra jigar-gosha-e-vahshat
Hain daagh se maamur shaqaiq ki kulahen
Hairat-kash-e-yak-jalva-e-maani hain nigahen
Khinchun hun suvaida-e-dil-e-chashm se aahen


No comments
Post a Comment