Rashke qamar hu range rukhe aftaab hu
Zarra tere jo ae shahe gardu janaab hu
Durre najaf hu gohare paak-e-khushab hu
Yaani turaabe rah guzare bu turab hu
Gar ankh hu to abr ki chashme par aab hu
Dil hu to bark ka dile pur izteraab hu
Khooni jigar hu ta-ir-e-be-aashiyaan shaha
Range pardi-e-rukhe ghul ka jawab hu
Be aslo be sabaat hu bahre karam madad
Parwarda-e-kinaare saraabo hubaab hu
Ibrat feza hai sharme gunah se mera sukut
Goya lab-e-khamoshe lahad ka jawab hu
Dil basta bekaraar jigar chaak ashkbaar
Guncha hu gul hu barke tapaan hu sahaab hu
Daava hai sabse teri shafaat pe beshtar
Daftar mei aasiyo ke shahe intekaab hu
Maula duhai nazro se gir kar jalaa ghulam
Ashq-e-mizaan raseeda-e-chashm-e-kabaab hu
Mitt jae ye khudi to wo jalwa kaha nahin
Darda mei aap apni nazar ka hijaab hu
Sadke hu uspe naar se dega jo mukhlesi
Bulbul nahi ki aatishe ghul par kabaab hu
Kaalib tahi kiye hamaa aaghosh hai hilaal
Ae shehsuware taibah mei teri rikaab hu
Kya kya hai tujhse naaz tere qasr ko ki mai
Kaabe ki jaan arshe baree ka jawaab hu
Shaha bujhe sakar mere ashko se taan mai
Aabe abas chakida-e-chashme kabaab hu
Mai to kaha hi chahu ke banda hu shah ka
Par luft jab hai keh de agar wo janab hu
Hasrat mei khaak bosi taibah ki ae Raza
Tapka jo chashme mehar se wo khoon-e-naab hu

No comments
Post a Comment