Monday, 15 October 2018

SOCHA HAI KI AB KAR-E-MASIHA NA KARENGE


Socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
Vo khoon bhi thukega to parva na karenge

Is baar vo talkhi hai ki ruthe bhi nahin ham
Ab ke vo ladai hai ki jhagda na karenge

Yaan us ke saliqe ke hain asar to kya ham
Is par bhi ye kamra tah-o-bala na karenge

Ab naghma-tarazan-e-bar-afrokhta ai shahr
Vasokht kahenge ghazal insha na karenge

Aisa hai ki siine mei sulagti hain kharashen
Ab saans bhi ham lenge to achha na karenge

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.