Siina dahak raha ho to kya chup rahe koi
Kyun chikh chikh kar na gala chhil le koi
Sabit hua sukun-e-dil-o-jan kahin nahin
Rishton mei dhundta hai to dhunda kare koi
Tark-e-taalluqat koi masala nahin
Ye to vo rasta hai ki bas chal pade koi
Divar janta tha jise main vo dhuup thi
Ab mujh ko etimad ki davat na de koi
Main khud ye chahta huun ki halat huun kharab
Mere khilaf zahr ugalta phire koi
Ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai
Ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi
Haan thiik hai main apni ana ka mariz huun
Akhir meri mizaj mei kyun dakhl de koi
Ik shakhs kar raha hai abhi tak vafa ka zikr
Kaash us zaban-daraz ka muh noch le koi


No comments
Post a Comment