Sitam ki rasmen bohot thiin lekin na thi teri anjuman se pahle
Saza khata-e-nazar se pahle itaab jurm-e-sukhan se pahle
Jo chal sako to chalo ki rah-e-vafa bohot mukhtasar hui hai
Maqam hai ab koi na manzil faraz-e-dar-e-rasan se pahle
Nahin rahi ab junun ki zanjir par vo pahli ijara-dari
Giraft karte hain karne vaale khirad pe divana-pan se pahle
Kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gavara
Ba-zid hai qatil ki jan-e-bismil figar ho jism o tan se pahle
Ghurur-e-sarv-o-saman se kah do ki phir vahi tajdar honge
Jo khar-o-khas vali-e-chaman the uruj-e-sarv-o-suman se pahle
Idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai
Zaban sambhalen ki dil sambhalen asiir zikr-e-vatan se pahle


No comments
Post a Comment