Sitam sikhlaega rasm-e-vafa aise nahin hota
Sanam dikhlaenge rah-e-khuda aise nahin hota
Gino sab hasraten jo khoon hui hain tan ke maqtal mei
Mere qatil hisab-e-khoon-baha aise nahin hota
Jahan-e-dil mei kaam aati hain tadbiren na taaziren
Yahan paiman-e-taslim-o-raza aise nahin hota
Har ik shab har ghadi guzre qayamat yun to hota hai
Magar har subh ho roz-e-jaza aise nahin hota
Ravan hai nabz-e-dauran gardishon mei asman saare
Jo tum kahte ho sab kuchh ho chuka aise nahin hota


No comments
Post a Comment