Monday, 15 October 2018

SILSILA JUMBAN IK TANHA SE RUUH KISI TANHA KI THI


Silsila jumban ik tanha se ruuh kisi tanha ki thi
Ek avaz abhi aai thi vo avaz hava ki thi

Be-duniyai ne is dil ki aur bhi duniya-dar kiya
Dil par aisi tuuti duniya tark zara duniya ki thi

Apne andar hansta huun main aur bohot sharmata huun
Khoon bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chalaki thi

Apne-ap se jab main gaya huun tab ki rivayat sunta huun
Aa kar kitne din tak us ki yaad mujhe puchha ki thi

Huun saudai saudai sa jab se main ne jaana hai
Tai vo rah-e-sar-e-saudai main ne be-sauda ki thi

Gard thi begana-gardi ki jo thi nigah meri taham
Jab bhi koi surat bichhdi ankhon mei nam-naki thi

Hai ye qissa kitna achha par main achha samjhun to 
Ek tha  koi jis ne yak-dam ye duniya paida ki thi

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.