Shauq ka rang bujh gaya yaad ke zakhm bhar gae
Kya meri fasl ho chuki kya mere din guzar gae
Rah-guzar-e-khayal mei dosh-ba-dosh the jo log
Vaqt ki gard-bad mei jaane kahan bikhar gae
Shaam hai kitni be-tapak shahr hai kitna sahm-nak
Ham-nafaso! kahan ho tum jaane ye sab kidhar gae
Pas-e-hayat ka khayal ham ko bohot bura laga
Pas ba-hujum-e-maarka jaan ke be-sipar gae
Main to safon ke darmiyan kab se pada huun nim-jan
Mere tamam jan-nisar mere liye to mar gae


No comments
Post a Comment