Shukr-e-khuda ki aaj ghadi us safar ki hai
Jis par nisaar jaan falaaho Zaar ki hai
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr ye to dekh azmat kidhar ki hai
Kis khaaq-e-paak ki tu banee khaaq-e-pa shifa
Tujh ko kasam janab-e-maseeha ke sarr ki hai
Aabe hayaat-e-ruh hai 'Zarqa' ki boond boond
Akseer aazama mase dil khaaq darr ki hai
Humko to apne saaye mei aaraam hi se laaye
Hile bahane waalo ko ye rah darr ki hai
Lut'te hai maare jaate hai yu hi suna kiye
Har baar di wo Aman ki ghairat hajar ki hai
Wo dekho jagmagati hai Shab aur Qamar abhi
Pahro nahi ki bisto chahrum safar ki hai
Maahe madeena apni tajalli ataa kare
Ye dhalti chaandni to pahar do pahar ki hai
Mann zaar-turbati waje bat lah Shafaati
Un par durood jinse Naved in Bashar ki hai
Unke Tufail haj bhi khuda ne kara diya
Asl-e-muraad haazri uss paak darr ki hai
Kaabe ka naam tak na liya Taibah hi kaha
Poocha tha humse jisne ki Huhzat kidhar ki hai
Kaaba bhi hai unhi ki tajalli ka ek zill
Roushan unhi se aks se putli hajar ki hai
Hote kahan khaleelo bina Kaaba wo mina
Lau laak wale sahibe sab tere ghar ki hai
Maula Ali ne vaari teri neend par namaz
Aur wo bhi asr sbse jo aala khatar ki hai
Siddique balki ghar mei jaan uss pe de chuke
Aur Jifze jaan to jaan Furuze Gurar ki hai
Haan tu ne unko jaan, unhe fer di namaz
Par wah to kar chuke the jo karni bashar ki hai
Saabit huwa ki jumla Faraiz Furuaa hai
Aslul usool bandagi us taajvar ki hai
Shar khaer, shor sur, sharar dur, naar noor
Bushra ki baargah ye Khairul bashar ki hai
Mujrim bulaye aaye hai 'jau-k' hai gawah
Phir radd ho kab ye shaan kareemo ke darr ki hai
Badd hai magar unhi ke hai baaghi nahi hai hum
Najdi na aaye usko ye manzil khatar ki hai
Tuf najdiyat na kufr na Islam sa pe harf
Qafir idhar ki hai na udhar ki adhar ki hai
Haakim hakeem daado dawa de ye kuch na de
Mardood ye muraad ki aayat khabar ki hai
Shakle bashar mei nore ilahi agar na ho
Kya kadr us khameera-e-maao madr ki hai
Noore ilahi kya hai muhabbat habeeb ki
Jis dil mei ye na ho wo jagah khufo khar ki hai
Zikre khuda jo unse juda chaho najdiyo
Wallah zikre haq nahi kunji sakar ki hai
Be unke waaste ke khuda kuch ataa kare
Haasha galat galat ye hawas be-basar ki hai
Maqsood ye hai Aadamo nuuho khaleel se
Tukhme karam mei saari karamat samar ki hai
Unki nubuwat unki ubuwat hai sabko aam
Ummul bashar aroos unhi ke pesar ki hai
Zaahir mei mere phool haqeeqat mei mere nakhl
Uss ghul ki yaad mei ye sadaa bul bashar ki hai
Pahle ho unki yaad ki paaye jila namaz
Ye kahte hai Azaan jo pichle pahar ki hai
Duniya mazaar hashr jahan hai ghafoor hai
Har manzil apne chaand ki manzil gafar ki hai
Un par durood jinko hajar tak kare salaam
Un par salaam jinko tahiyyat shajar ki hai
Jinno bashar salaam ko haazir hai Assalaam
Ye bargah maalik-e-jinno bashar ki hai
Shamso Qamar slaam ko haazir hai assalam
Khubi unhi ki jyot se Shamso Qamar ki hai
Sango shajar salaam ko haazir hai assalam
kalme se tar zabaan karakhto hajar ki hai
Arzo asar salaam ko hazir hai assalaam
Malja ye baargah dua o asar ki hai
Shorida sarr salaam ko hazir hai assalam
Raahat unhi ke qadmo mei shorida sarr ki hai
Khasta jigar salaam ko hazir hai assalaam
Marham yahi ki khaak to khasta jigar ki hai
Sab khushko tar salaam ko haazir hai assalam
Ye jalwa gaagh maalike har khushko tar ki hai
Sab karro far salaam ko hazir hai assalam
Topi yahi to khaaq pe har karro far ki hai
Ahle nazar salaam ko hazir hai assalam
Ye gard hi surma sab ahle nazar ki hai
Aansu baha ki beh gaye kaale gunah ke dher
Haathi dubav jheel yahan chashme tar ki hai
Teri kaza khaleefa-e-ahkaame zil jalaal
Teri Raza haleef kazawo kadar ki hai
ye pyari pyari kyari tere khaana baagh ki
Sard isko aabo taab se aatash safar ki hai
Jannat mei aa ke naar mei jaata nahi koi
Shukre khuda naweed najaato zafar ki hai
Momin hun momin pe rauf ur raheem ho
Sail hu sailo ko khushi la-nahar ki hai
Daaman ka waasta mujhe is dhup se bacha
Mujh to shaak jaado mei us dopahar ki hai
Maa dono bhai bete bhateeje azeez dost
Sab tujhko soupe milk hi sab ter ghar ki hai
Jin jin muraado ke liye ahbaab ne kaha
Peshe khabeer kya mujhe haajat khabar ki hai
Fazle khuda se ghaib-e-shahad huwa unhe
Iss par shahadat aayato wahiyo asar ki hai
Kahna na kahne wale the jab se tu ittelaa
Maula ko qoulo qailo har khusko tar ki hai
Unn par kitaab utri bayaanul li-kulli shay
Tafseel jisme abaro ma gabar ki hai
Aage rahi ataa wo baqadre talab to kya
Aadat yahan ummeed se bhi beshtar ki hai
Be maange dene wale ki nemat mei gark hai
Maange se jo mile kise faham is kadar ki hai
Ahbaab iss se badh ke to shayad na paaye arz
Na karda arz arz ye tarze digar ki hai
Dandaan ki naat khwa hu na payab hogi aab
Naddi gale-gale mere aabe guhar ki hai
Dashte haram mei rahne de sayyad agar tujhe
Mitti azeez bulbule be-baalo par ki hai
Ya Rabb Raza na Ahmade Parina hoke jaae
Ye bargah tere habeebe Abaraar ki hai
Aa kuch suna de ishq ke bolon mei ay Raza
Mushtaq tab-a-lazzate soze jigar ki hai

No comments
Post a Comment