Pul se utaaro rah guzar ko khabar na ho
Jibril par bichae to par ko khabar na ho
Kaanta mere jigar sat gham e rozgaar ko
Yun kheech lijiye kay jigar ko khabar na ho
Fariyaad umaate jo kare haal-e-zaar mei
Mumkin nahin ke khaer-e-bashar ko khabar na ho
Kehte the ye buraaq say uske sabak ravey
Yun jae ke ghard-e-safar ko khabar na ho
Farmaate hain ye dono hai sardare do jahaan
Ae Murtaza ateeqo Umar ko khabar na ho
Aesa guma de unki wila mei khuda hame
Dhoonda kare par pani khabar ko khabar na ho
Aa dil haram ko rokne walaon se chupke aaj
Yun uth chalen ki pehluon bar ko khabar na ho
Taere haram hain ye kahin rishta bapaa na ho
Yun dekhiye ki taare nazar ko khabar na ho
Ae khaare taiba dekh ki daaman na bheeg jaae
Yun dil mei aa ki deede tar ko khabar na ho
Ae shauq-e-dil ye sajda gar unko rawa nahin
Achcha wo sajda keeje ki sar ko khabar na ho
Unke siwa Raza koi haami nahi jahaan
Guzra kare pisar pe pidar ko khabar na ho

No comments
Post a Comment