Rashke Qamar hun range rukhe Aftaab hun
Zarra tere jo aae shahe gardu janaab hun
Durre najaf hun gohare paak-e-khushaab hun
Yaani turaabe rah guzare bu tarab hun
Gar aankh hu to abr ki chashme par aab hun
Dil hun to bark ke dile pur izteraab hun
Khooni jigar hun ta-ir e be aashiyan shaba
Range pardi-e-rukhe ghul ka jawab hun
Be aslo be sabaat hun bahre karam madad
Parwarda-e-kinaare saraabo hubaab hun
ibrat feza hai sharme gunah se mera sukut
Goya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawaab hun
Kyu naala soz le karu kyun khoon-e-dil piyun
Seekh-e-kabaab hun na mae jaame sharab hun
Dil basta bekaraar jigar chaak ashkbaar
Guncha hun ghul hun barke pataan hun sahaab hun
Daava hai sabse teri shafaat pe beshtar
Daftar mei asiyo ke shahe intekhaab hun
Maula duha-i nazro se gir kar jala ghulam
Ashq-e-mizaan raseeda-e-chashm-e-kabaab hun
Mitt jae ye khudi to wo jalwa kahan nahi
Darda mei aap apni nazar ka hijaab hun
Sadke hun uspe naar se dega jo mukhlesi
Bulbul nahi ki aastishe ghul par kabaab hun
Kaalib tahi kiye hamaa aaghosh hai hilaal
Aae shehsuware taibah mei teri rikaab hun
Kya kya hai tujhse naaz tere qasr ko ki mae
Kaabe ki jaan arshe baree ka jawaab hun
Shaha bujhe sakar mere ashko se taa.n mae
Aabe abas chakida-e-chashm-e-kabaab hun
Mae to kahan hi chahu ke banda hu shah ka
Par luft jab hai keh de agar wo jana 'Hun'
Hasrat mei khaaq bosi-e-taibaah ki ae Raza
Tapka jo chashm-e-mehar se wo khoon-e-naab hun

No comments
Post a Comment