Shikve ke naam se be-mehr khafa hota hai
Ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai
Pur hun main shikve se yun raag se jaise baaja
Ik zara chhediye phir dekhiye kya hota hai
Go samajhta nahin par husn-e-talafi dekho
Shikva-e-jaur se sargarm-e-jafa hota hai
Ishq ki raah mei hai charkh-e-makaukab ki vo chaal
Sust-rau jaise koi abla-pa hota hai
Kyun na thahren hadaf-e-navak-e-bedad ki ham
Aap utha laate hain gar teer khata hota hai
Khuub tha pahle se hota jo ham apne bad-khvah
Ki bhala chahte hain aur bura hota hai
Naala jaata tha pare arsh se mera aur ab
Lab tak aata hai jo aisa hi rasa hota hai
Khama mera ki vo hai bar-bud-e-bazm-e-sukhan
Shaah ki madh mei yun naghma-sara hota hai
Ai shahansha-e-kavakib sipah-o-mehr-e-alam
Tere ikram ka haq kis se ada hota hai
Saath aqlim ka hasil jo faraham kiije
To vo lashkar ka tere nal-e-baha hota hai
Har mahine mei jo ye badar se hota hai hilal
Astan par tere mah nasiya sa hota hai
Main jo gustakh hun aai-e-ghazal-khvani mei
Ye bhi tera hi karam zauq-faza hota hai
Rakhiyo 'Ghalib' mujhe is talkh-navai mei muaaf
Aaj kuchh dard mere dil mei siva hota hai
No comments
Post a Comment