Sunday, 7 October 2018

SHAUQ HAR RANG RAQIB-E-SAR-O-SAMAN NIKLA


Shauq har rang raqib-e-sar-o-saman nikla
Qais tasvir ke parde mei bhi uryan nikla

Zakhm ne daad na di tangi-e-dil ki ya rab
Teer bhi sina-e-bismit se par-afshan nikla

Bu-e-gul nala-e-dil dud-e-charagh-e-mahfil
Jo teri bazm se nikla so pareshan nikla

Dil-e-hasrat-zada tha maida-e-lazzat-e-dard
Kaam yaron ka ba-qadr-e-lab-o-dandon nikla

Thi nau-amuz-e-fana himmat-e-dushvar-pasand
Sakht mushkil hai ki ye kaam bhi asan nikla

Dil mei phir girye ne ik shor uthaya 'Ghalib'
Aah jo qatra na nikla tha so tufan nikla

Kar-khane se junun ke bhi main uryan nikla
Meri qismat ka na ek-adh gareban nikla

Saghar-e-jalva-e-sarshar hai har zarra-e-khak
Shauq-e-didar bala aaina-saman nikla

Kuchh khatakta tha mere siine mei lekin akhir
Jis ko dil kahte the so teer ka paikan nikla

Kis qadar khaak huwa hai dil-e-majnun ya rab
Naqsh-e-har-zarra suvaida-e-bayanban nikla

Shor-e-rusvai-e-dil dekh ki yak-nala-e-shauq
Laakh parde mei chhupa par vahi uryan nikla

Shokhi-e-rang-e-hina khoon-e-vafa se kab tak
Akhir ai ahd-shikan tu bhi pasheman nikla

Jauhar-ijad-e-khat-e-sabz hai khud-bini-e-husn
Jo na dekha tha so aaine mei pinhan nikla

Main bhi mazur-e-junun hun 'Asad' ai khana-kharab
Peshva lene mujhe ghar se bayaban nikla

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.