Simab-pusht garmi-e-aaina de hai ham
Hairan kiye huwe hain dil-e-be-qarar ke
Aghosh-e-gul kushuda bara-e-vida hai
Ai andalib chal ki chale din bahar ke
Yun bad-e-zabt-e-ashk phirun gird yaar ke
Paani piye kisu pe koi jaise vaar ke
Bad-az-vida-e-yar ba-khoon dar tapida hain
Naqsh-e-qadam hain ham kaf-e-pa-e-nigar ke
Ham mashq-e-fikr-e-vasl-o-gham-e-hijr se 'Asad'
Laaiq nahin rahe hain gham-e-rozgar ke


No comments
Post a Comment