Shauq ka baar utaar aaya huun
Aaj main us ko haar aaya huun
Uf mera aaj mai-kade aana
Yuun to main kitni baar aaya huun
Doston dost ko sambhala do
Duur se pa-figar aaya huun
Saf-e-akhir se lad raha tha main
Aur yahan lash-var aaya huun
Vahi dasht-e-azab-e-mayusi
Vahin anjam-kar aaya huun
No comments
Post a Comment