Sharmindagi hai ham ko bohot ham mile tumhen
Tum sar-ba-sar khushi the magar gham mile tumhen
Main apne aap mei na mila is ka gham nahin
Gham to ye hai ki tum bhi bohot kam mile tumhen
Hai jo hamara ek hisab us hisab se
Aati hai ham ko sharm ki paiham mile tumhen
Tum ko jahan-e-shauq-o-tamanna mei kya mila
Ham bhi mile to darham o barham mile tumhen
Ab apne taur hi mei nahin tum so kaash ki
Khud mei khud apna taur koi dam mile tumhen
Is shahr-e-hila-ju mei jo mahram mile mujhe
Fariyad jan-e-jan vahi mahram mile tumhen
Deta hun tum ko khushki-e-mizhgan ki main dua
Matlab ye hai ki daman-e-pur-nam mile tumhen
Main un mei aaj tak kabhi paaya nahin gaya
Janan jo mere shauq ke aalam mile tumhen
Tum ne hamare dil mei bohot din safar kiya
Sharminda hain ki us mei bohot kham mile tumhen
Yun ho ki aur hi koi havva mile mujhe
Ho yun ki aur ho koi aadam mile tumhen


No comments
Post a Comment