Shamshir meri, meri sipar kis ke paas hai
Do mera khud par mera sar kis ke paas hai
Darpesh ek kaam hai himmat ka sathiyo
Kasna hai mujh ko meri kamar kis ke paas hai
Taari ho mujh pe kaun si halat mujhe batao
Mera hisab-e-naf-o-zarar kis ke paas hai
Ai ahl-e-shahr main to dua-go-e-shahr hun
Lab par mere dua hai asar kis ke paas hai
Dad-o-sitad ke shahr mei hone ko aai shaam
Khvahish hai mere paas khabar kis ke paas hai
Pur-hal huun pa surat-e-ahval kuchh nahin
Hairat hai mere paas nazar kis ke paas hai
Ik aftab hai meri jeb-e-nigah mei
Pahnai-e-numud-e-sahar kis ke paas hai
Qissa kishor ka nahin koshak ka hai ki hai
Darvaza sab ke paas hai ghar kis ke paas hai
Mehman-e-qasr hain hamen kuchh ramz chahiyen
Ye puchh ke batao khandar kis ke paas hai
Uthla sa naf-pyala hamari nahin talash
Ai ladkiyo! batao bhanvar kis ke paas hai
Nakhun badhe huwe hain mere mujh se kar hazar
Ye ja ke dekh nail-cutter kis pe paas hai


No comments
Post a Comment