Monday, 15 October 2018

SHAAM THI AUR BARG-O-GUL SHAL THE MAGAR SABA BHI THI


Shaam thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi
Ek ajiib sukut tha ek ajab sada bhi thi

Ek malal ka sa haal mahv tha apne haal mei
Raqs-o-nava the be-taraf mahfil-e-shab bapa bhi thi

Samae-e-sada-e-jan be-sarokar tha ki tha
Ek guman ki dastan bar-lab nim-va bhi thi

Kya mah-o-sal majra ek palak thi jo miyan
Baat ki ibtida bhi thi baat ki intiha bhi thi

Ek surud-e-roshni nima-e-shab ka khvab tha
Ek khamosh tirgi saneha-ashna bhi thi

Dil tera pesh-e-gila-e-kam kharab kar gaya
Varna to ek ranj ki halat-be-gila bhi thi

Dil ke muamle jo the un mei se ek ye bhi hai
Ik havas thi dil mei jo dil se gurez-pa bhi thi

Bal-o-par-e-khayal ko ab nahin samt-o-su nasib
Pahle thi ik ajab faza aur jo pur-faza bhi thi

Khushk hai chashma-sar-e-jan zard hai sabza-zar-e-dil
Ab to ye sochiye ki yaan pahle kabhi hava bhi thi

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.