Sarapa rehn-e-ishq-o-na-guzir-e-ulfat-e-hasti
Ibadat barq ki karta hun aur afsos hasil ka
Ba-qadr-e-zarf hai saaqi khumar-e-tishna-kami bhi
Jo tu dariya-e-mai hai to main khamyaza hun sahil ka
Zi-bas khoon-gashta-e-rashk-e-vafa tha vahm bismil ka
Churaya zakhm-ha-e-dil ne paani tegh-e-qatil ka
Nigah-e-chashm-e-hasid vaam le ai zauq-e-khud-bini
Tamashai hun vahdat-khana-e-aaina-e-dil ka
Sharar-fursat nigah saman-e-yak-alam charaghan hai
Ba-qadr-e-rang yaan gardish mei hai paimana mahfil ka
Sarasar takhtan ko shash-jihat yak-arsa jaulan tha
Huwa vamandgi se rah-ravan ki farq manzil ka
Mujhe rah-e-sukhan mei khauf-e-gum-rahi nahin 'Ghalib'
Asa-e-khizr-e-sahra-e-sukhan hai khama be-dil ka
No comments
Post a Comment