Sar-gashtagi mei alam-e-hasti se yaas hai
Taskin ko de naved ki marne ki aas hai
Leta nahin mere dil-e-avara ki khabar
Ab tak vo janta hai ki mere hi paas hai
Kijiye bayan surur-e-tap-e-gham kahan talak
Har mu mere badan pe zaban-e-sipas hai
Hai vo ghurur-e-husn se begana-e-vafa
Har-chand us ke paas dil-e-haq-shanas hai
Pi jis qadar mile shab-e-mahtab mei sharab
Is balghami-mizaj ko garmi hi raas hai
Har ik makam ko hai makin se sharaf 'Asad'
Majnun jo mar gaya hai to jangal udaas hai
Kya gham hai us ko jis ka 'Ali' sa imaam ho
Itna bhi ai falak-zada kyun ba-havas hai
No comments
Post a Comment