Safa-e-hairat-e-aaina hai saman-e-zang akhir
Taghayyur ab-e-bar-ja-manda ka paata hai rang akhir
Na ki saman-e-aish-o-jah ne tadbir vahshat ki
Huwa jam-e-zumurrad bhi mujhe dagh-e-palang akhir
Khat-e-nau-khez nil-e-chashm zakhm-e-safi-e-ariz
Liya aina ne hirz-e-par-e-tuti ba-chang akhir
Hilal-asa tahi rah gar kushadan-ha-e-dil chahe
Huwa mah kasrat-e-sarmaya-andozi se tang akhir
Tadap kar mar gaya vo said-e-bal-afshan ki muztar tha
Huwa nasu-e-chashm-e-taaziyat chashm-e-khadang akhir
Likhi yaron ki bad-masti ne maikhane ki pamali
Hui qatra-fishani-ha-e-mai-baran-e-sang akhir
'Asad' parde mei bhi ahang-e-shauq-e-yar qaaem hai
Nahin hai naghme se khali khamidan-ha-e-chang akhir
No comments
Post a Comment