Sar hi ab phodiye nadamat mei
Niind aane lagi hai furqat mei
Hain dalilen tere khilaf magar
Sochta hun teri himayat mei
Ruuh ne ishq ka fareb diya
Jism ko jism ki adavat mei
Ab faqat adaton ki varzish hai
Ruuh shamil nahin shikayat mei
Ishq ko darmiyan na laao ki main
Chikhta hun badan ki usrat mei
Ye kuchh asan to nahin hai ki ham
Ruth'te ab bhi hain muravvat mei
Vo jo taamir hone vaali thi
Lag gai aag us imarat mei
Zindagi kis tarah basar hogi
Dil nahin lag raha mohabbat mei
Hasil-e-kun hai ye jahan-e-kharab
Yahi mumkin tha itni ujlat mei
Phir banaya khuda ne aadam ko
Apni surat pe aisi surat mei
Aur phir aadmi ne ghaur kiya
Chhipkili ki latif sanat mei
Ai khuda jo kahin nahin maujud
Kya likha hai hamari qismat mei


No comments
Post a Comment