Saare rishte tabah kar aaya
Dil-e-barbad apne ghar aaya
Akhirash khoon thukne se miyan
Baat mei teri kya asar aaya
Tha khabar mei ziyan dil o jaan ka
Har taraf se main be-khabar aaya
Ab yahan hosh mei kabhi apne
Nahin aaunga main agar aaya
Main raha umr bhar juda khud se
Yaad main khud ko umr bhar aaya
Vo jo dil naam ka tha ek nafar
Aaj main is se bhi mukar aaya
Muddaton baad ghar gaya tha main
Jaate hi main vahan se dar aaya


No comments
Post a Comment