Samajh mei zindagi aae kahan se
Padhi hai ye ibarat darmiyan se
Yahan jo hai tanaffus hi mei gum hai
Parinde ud rahe hain shakh-e-jan se
Makan-o-la-makan ke biich kya hai
Juda jis se makan hai la-makan se
Daricha baaz hai yadon ka aur main
Hava sunta hun main pedon ki zaban se
Tha ab tak ma.arka bahar ka darpesh
Abhi to ghar bhi jaana hai yahan se
Zamana tha vo dil ki zindagi ka
Teri furqat ke din laun kahan se
Fulan se thi ghazal behtar fulan ki
Fulan ke zakhm achchhe the fulan ke


No comments
Post a Comment