Sunday, 7 October 2018

SATAISH-GAR HAI ZAHID IS QADAR JIS BAGH-E-RIZVAN KA


Sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizvan ka
Vo ik guldasta hai ham be-khudon ke taq-e-nisyan ka

Bayan kya kijiye be-dad-e-kavish-ha-e-mizhgan ka
Ki har yak qatra-e-khoon daana hai tasbih-e-marjan ka

Na aai satvat-e-qatil bhi maane mere nalon ko
Liya danton mei jo tinka huwa resha nistan ka

Dikhaunga tamasha di agar fursat zamane ne
Mera har dagh-e-dil ik tukhm hai sarv-e-charaghan ka

Kiya aaina-khane ka vo naqsha ter jalve ne
kare jo partav-e-khurshid aalam shabnamistan ka

Meri taamir mei muzmar hai ik surat kharabi ki
Hayula barq-e-khirman ka hai khoon-e-garm dahqan ka

Uga hai ghar mei har su sabza-virani tamasha kar
Madaar ab khodne par ghaas ke hai mere darban ka

Khamoshi mei nihan khoon-gashta lakhon arzuen hain
Charagh-e-murda hun main be-zaban gor-e-ghariban ka

Hanuz ik partav-e-naqsh-e-khayal-e-yar baaqi hai
Dil-e-afsurda goya hujra hai yusuf ke zindan ka

Baghal mei ghair ki aaj aap sote hain kain varna
Sabab kya khvab mei aa kar tabassum-ha-e-pinhan ka

Nahin maalum kis kis ka lahun paani huwa hoga
Qayamat hai sarishk-aluda hona teri mizhgan ka

Nazar mei hai hamari jada-e-rah-e-fana 'Ghalib'
Ki ye shiraza hai aalam ke ajza-e-pareshan ka

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.