Sab chale jaao mujh mei taab nahin
Naam ko bhi ab iztirab nahin
Khoon kar duun tere shabab ka main
Mujh sa qatil tera shabab nahin
Ik kitab-e-vajud hai to sahi
Shayad is mei dua ka baab nahin
Tu jo padhta hai bu-ali ki kitab
Kya ye aalim koi kitab nahin
Apni manzil nahin koi fariyad
Rakhsh bhi apna bad-rikab nahin
Ham kitabi sada ke hain lekin
Hasb-e-mansha koi kitab nahin
Bhool jaana nahin gunah oose
Yaad karna oose savab nahin
Padh liya us ki yaad ka nushka
Us mei shohrat ka koi baab nahin


No comments
Post a Comment