Sadgi par us ki mar jaane ki hasrat dil mei hai
Bas nahin chalta ki phir khanjar kaf-e-qatil mei hai
Dekhna taqrir ki lazzat ki jo us ne kaha
Main ne ye jaana ki goya ye bhi mere dil mei hai
Garche hai kis kis burai se vale bain-hama
Zikr mera mujh se behtar hai ki us mahfil mei hai
Bas hujum-e-na-ummeedi khaak mei mil jaegi
Ye jo ik lazzat hamari sai-e-be-hasil mei hai
Ranj-e-rah kyun khinche vamandagi ko ishq hai
Uth nahin sakta hamara jo qadam manzil mei hai
Jalva zar-e-atish-e-dozakh hamara dil sahi
Fitna-e-shor-e-qayamat kis ke ab-o-gil mei hai
Hai dil-e-shorida-e-'Ghalib' tilism-e-pech-o-tab
Rahm kar apni tamanna par ki kis mushkil mei hai
No comments
Post a Comment