Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten
Kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
Ye sukhan ho ham ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke
Koi lamha subh-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten
Jo tumhari maan len naseha to rahega daman-e-dil mei kya
Na kisi adu ki adavaten na kisi sanam ki muravvaten
Chalo aao tum ko dikhaen ham jo bacha hai maqtal-e-shahr mei
Ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten
Meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-vaqt ne
Kisi apne kal mei bhi bhool kar kahin likh rakhi hon masarraten


No comments
Post a Comment