Sunday, 14 October 2018

RUTHA THA TUJH SE YAANI KHUD APNI KHUSHI SE MAIN


Rutha tha tujh se yaani khud apni khushi se main
Phir us ke baad jaan na rutha kisi se main

Banhon se meri vo abhi rukhsat nahin hua
Par gum huun intizar mei us ke abhi se main

Dam-bhar teri havas se nahin hai mujhe qarar
Halkan ho gaya huun teri dilkashi se main

Is taur se hua tha juda apni jaan se
Jaise bhula sakunga oose aaj hi se main

Ai tarah-dar-e-ishva-taraz-e-dayar-e-naz
Rukhsat hua huun tere liye dil-gali se main

Tu hi harim-e-jalva hai hamgam-e-rang hai
Janan bohot udaad huun apni kami se main

Kuchh to hisab chahiye aine se tujhe
Lunga tera hisab meri jaan tujhi se main

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.