Kya hi zauk afza shaf'at hain tumhari wah wah
Karz leti hain gunah parhezgari wah wah
Khama-e-qudrat ka husn-e-dastkaari wah wah
Kya hi tasvir apne pyare ki savari wah wah
Ashk shab bhar intezar-e-afwe ummat mei bahen
Main fida chand aur yu Akhtar shumari wah wah
Ungliyan hain faiz par toote hain pyase jhum kar
Nadiyan panj aab-e-rehmat ki hain jaari wah wah
Noor ki khairaat lene daudte hain mehre maah
Uth'ti hain kis shaan se gard savari wah wah
Neem jalve ki na tab aaye qamar saa to sahi
Mehar aur un talvo ki aaina daari wah wah
Nafs ye kya zulm hain jab dekho taaza jurm hain
Naatwan ke sar par itni bojh bhari wah wah
Mujrimon ko dhundhti phirte hain rehmat ki nigah
Taaliye bargashta teri saazgari wah wah
Arz begi hain shafa'at afw ki sarkaar mei
Chhat rahi hain mujrimo ki fard saari wah wah
Kya madine mei saba aai ki phoolo mei hain aaj
Kuchh nai buu bhiini bhiini pyari pyari wah wah
Khud rahe parde mei aur aaina akse khaas ka
Bhej kar anjaano se ki rahdaari wah wah
Is taraf rouze ka noor us samt mimbar ki bahaar
Bichme jannat ki pyari pyari kyari wah wah
Sadqe is inaam ke qurbaan us ikraam ke
Ho rahi hain dono aalam mei tumhari wah wah
Para-e-dil bhi na nikla dil se tohfe mei Raza
Un sagane ku se itni jaan pyari wah wah

No comments
Post a Comment