Sunday, 7 October 2018

RUKH-E-NIGAR SE HAI SOZ-E-JAVIDANI-E-SHAMMAA


Rukh-e-nigar se hai soz-e-javidani-e-shammaa
Hui hai atish-e-gul ab-e-zindagani-e-shammaa

Zaban-e-ahl-e-zaban mei hai marg khamoshi
Ye baat bazm mei raushan hui zabani-e-shammaa

Kare hai sarf ba-ima-e-shola qissa tamam
Ba-tarz-e-ahl-e-fana hai fasana-khvani-e-shammaa

Gham us ko hasrat-e-parvana ka hai ai shole
Tere larazne se zahir hai na-tavani-e-shammaa

Tere khayal se ruh ehtizaz karti hai
Ba-jalva-rezi-e-bad o ba-par-fishani-e-shammaa

Nashat-e-dagh-e-gham-e-ishq ki bahar na puchh
Shaguftagi hai shahid-e-gul-e-khizani-e-shammaa

Jale hai dekh ke balim-e-yar par mujh ko
Na kyun ho dil pe mere dagh-e-bad-gumani-e-shammaa

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.