Sab kahan kuchh lala-o-gul mei numayan ho gaiin
Khaak mei kya suraten hongi ki pinhan ho gaiin
Yaad thiin ham ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
Lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gaiin
Thiin banat-un-nash-e-gardun din ko parde mei nihan
Shab ko un ke ji mei kya ai ki uryan ho gaiin
Qaid mei yakub ne li go na yusuf ki khabar
Lekin ankhen rauzan-e-divar-e-zindan ho gaiin
Sab raqibon se hon na-khush par zanan-e-misr se
Hai zulekha khush ki mahv-e-mah-e-kanan ho gaiin
Ju-e-khoon ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
Main ye samjhunga ki shamen do farozan ho gaiin
In pari-zadon se lenge khuld mei ham intiqam
Qudrat-e-haq se yahi huren agar vaan ho gaiin
Neend us ki hai dimagh us ka hai raten us ki hain
Teri zulfen jis ke baazu par pareshan ho gaiin
Main chaman mei kya gaya goya dabistan khul gaya
Bulbulen sun kar mere naale ghazal-khavan ho gaiin
Vo nigahen kyun hui jaati hai ya-rab dil ke paar
Jo meri kotahi-e-qismat se mizhgan ho gaiin
Bas-ki roka main ne aur siine mei ubhrin pai-ba-pai
Meri aahen bakhiya=e-chak-e-gareban ho gaiin
Vaan gaya bhi main to un ki galiyon ka kya javab
Yaad thiin jitni duaaen sarf-e-darban ho gaiin
Jan-faza hai baada jis ke haath mei jaam aa gaya
Sab lakiren haath ki goya rag-e-jan ho gaiin
Ham muvahhid hain hamara kesh hai tark-e-rusum
Millaten jab mit gaiin ajza-e-iman ho gaiin
Ranj se khugar huwa insan to mit jaata hai ranj
Mushkilen mujh par padin itni ki asaan ho gaiin
Yun hi gar rota raha 'Ghalib' to ai ahl-e-jahan
Dekhan in bastiyon ko tum ki viran ho gaiin
No comments
Post a Comment