Rone se aur ishq mei bebak ho gae
Dhoe gae ham itne ki bas paak ho gae
Sarf-e-baha-e-mai huwe alat-e-mai-kashi
The ye hi do hisab so yun paak ho gae
Rusva-e-dahr go huwe avargi se tum
Baare tabiaton ke to chalak ho gae
Kahte hai kaun nala-e-bulbul ko be-asar
Parde mei gu ke laakh jigar chaak ho gae
Puchhe hai kya vajud o adam ahl-e-shauq ka
Aap apni aag ke khas-o-khashak ho gae
Karne gae the us se taghaful ka ham gila
Ki ek hi nigah ki bas khaak ho gae
Is rang se uthai kal us ne 'Asad' ki naash
Dushman bhi jis ko dekh ke ghamnak ho gae
No comments
Post a Comment