Rounaq-e-bazm-e-jahan hai aashiqane sokhta
Keh rahi hai shamma ki goya zabaan-e-sokhta
Jisko kurse mehr samjha hai jahan ay mun-emo
Unke khvane jood se hai ek naan-e-sokhta
Maahe mann hai nayyar-e-mehshar ki garmi ta-bake
Aatish-e-ishyaan mei khud jalti hai jaan-e-sokhta
Bark-e-angusht-e-nabi chamakti thi uss par ek baar
Aaj tak hai siina-e-mah mei nishaan-e-sokhta
Mehr-e-aalam taab jhukta hai paye tasleem roz
Peshe zarrate mazaar-e-be-dillane sokhta
Kucha-e-ghesu-e-jaana se chale thandi naseem
Baalo par afsha ho ya rab bulbulane sokhta
Bahre haq ay bahre rehmat ik nigah-e-lutfbaar
Ta-ba-ke be aab tadpe mahiyane sokhta
Rukshe khurshide mehshar ho tumhare faiz se
Is sharare seena-e-shaidayi-aane sokhta
Aatish-e-tar daamani ne dil kiye kya kya kabaab
Khizr ki jaan ho jila do mahiyane sokhta
Aatish-e-gulha-e-taibah par jalane ke liye
Jaan ke taalib hai pyare bulbulane sokhta
Lutf-e-barke jalva-e-maeraj laaya wajd mei
Shola-e-zavvala san hai aasman-e-sokhta
Ay Raza mazmoon soze dil ki rifat ne kiya
Is zameen-e-sokhta ko aasmaan-e-sokhta

No comments
Post a Comment