Sar sue rouza jhuka phir tujhko kya
Dil tha sajid najdiya phir tujhko kya
Baith'te uth'te madad ke waaste
Ya Rasoolallah (saw) kaha phir tujko kya
Ya garaz se choot ke mahje zikr ko
Naam-e-paak unka japa phir tujhko kya
Bekhudi mei sajda-e-darr ya tawaaf
Jo kiya achha kiya phir tujhko kya
Unko tamlee ke malikul mulq se
Maalik-e-aalam kaha phir tujhko kya
Unke naam-e-paak par dil jaano maal
Najdiiya sab taj diya phir tujhko kya
Ya ibadi kehke humko shaah ne
Apna banda kar liya phir tujhko kya
Dev ke bando se kab hai ye khitaab
Tu na unka hai na tha phir tujhko kya
La yaudun aage hoga bhi nahin
Tu alag hai daaima phir tujhko kya
Dashte gardo peshe taiba ka adab
Makka sa tha ya siwa phir tujhko kya
Najdi martah hai ke kyu ta'azeem ki
Ye hamara diin tha phir tujhko kya
Dev tujhse khush hai phir hum kya kare
Humse hai raazi khuda phir tujhko kya
Teri doshzakh se to kuch chiina nahi
Khuld mei pohcha Raza phir tujhko kya

No comments
Post a Comment