Puchte kya ho arsh par yun gaye Mustafa ke yun
Kaif ke parr jahan jale koi bataye kya ke yun
Qasre dana ke raaz mei aqle to gam hai jaisi hai
Ruhe qudus se puchiye tum ne bhi kuch suna ke yun
Maine kaha ki jalva-e-asl mei kis tarah gume
Subha ne noore mehr mei mitt ke dikha diya ke yun
Haae re zouqe-bekhudi dil jo sambhalne se laga
Chak ke mahak mei phool ki gir ne lagi sabaa ke yun
Dil ko de nooro daaghe ishq phir mai fida do neem kar
Maana hai sun ke shaqqe maah ankho se ab dikha ke yun
Dil ko hai fikr kis tarah murde jhilate hai huzoor
Ay mai fida laga kar ek thokar oose bata ke yun
Baagh mei shukre vasl tha hijr mei haae haae ghul
Kaam hai unke zikr se khair wo yun hua ke yun
Jo kahe shearo paase shara dono ka husn kyun kar aae
La oose paishe jalva-e-zame Raza ke yun

No comments
Post a Comment