Rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam
Mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
Doston us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
Gulistan ki baat rangin hai na mai-khane ka naam
Phir nazar mei phool mahke dil mei phir shamaen jalin
Phir tasavvur ne liya us bazm mei jaane ka naam
Dil thahra zaba-e-khalq khulvane ka naam
Ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam
Ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
In dinon badnam hai har ek divane ka naam
Mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
Rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam
Ham se kahte hain chaman vaale ghariban-e-chaman
Tum koi achha sa rakh lo apne virane ka naam
'Faiz' un ko hai taqaza-e-vafa ham se jinhen
Ashna ke naam se pyara hai begane ka naam


No comments
Post a Comment