Rah-e-khizan mei talash-e-bahar karte rahe
Shab-e-siyah se talab husn-e-yar karte rahe
Khayal-e-yar kabhi zikr-e-yar karte rahe
Isi mataa pe ham rozgar karte rahe
Nahin shikayat-e-hijran ki is vasile se
Ham un se rishta-e-dil ustuvar karte rahe
Vo din ki koi bhi jab vajh-e-intizar na thi
Ham un mei tera siva intezar karte rahe
Ham apne raaz pe nazan the sharmsar na the
Har ek se sukhan-e-raz-dar karte rahe
Ziya-e-bazm-e-jahan baar baar maand hui
Hadis-e-shola-rukhan baar baar karte rahe
Unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai
Jo gaah gaah junun ikhtiyar karte rahe


No comments
Post a Comment