Phir kuchh ik dil ko be-qarari hai
Siina juya-e-zakhm-e-kari hai
Phir jigar khodne laga nakhun
Amad-e-fasl-e-lala-kari hai
Qibala-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz
Phir vahi parda-e-amari hai
Chashm dallal-e-jins-e-rusvai
Dil kharidar-e-zauq-e-khvari hai
Vahi sad-rang nala-farsai
Vahi sad-gona ashk-bari hai
Dil hava-e-khiram-e-naz se phir
Mahsharistan-e-be-qarari hai
Jalva phir arz-e-naz karta hai
Roz bazar-e-jan-sipari hai
Phir usi bevafa pe marte hain
Phir vahi zindagi hamari hai
Phir khula hai dar-e-adalat-e-naz
Garm-bazar-e-faujdari hai
Ho raha hai jahan mei andher
Zulf ki phir sirishta-dari hai
Phir diya para-e-jigar ne saval
Ek fariyad o ah-o-zari hai
Phir huwe hain gavah-e-ishq talab
Ashk-bari ka hukm-jari hai
Dil o mizhgan ka jo muqaddama tha
Aaj phir us ki ru-bakari hai
Be-khudi be-sabab nahin 'Ghalib'
Kuchh to hai jis ki parda-dari hai
No comments
Post a Comment