Phir is andaz se bahar aai
Ki huwe mehr o mah tamashai
Dekho ai sakinan-e-khitta-e-khaak
Is ko kahte hain alam-arai
Ki zamin ho gayi hai sar-ta-sar
Ru-kash-e-sath-e-charkh-e-minai
Sabza ko jab kahin jagah na mili
Ban gaya ru-e-ab par kaai
Sabza o gul ke dekhne ke liye
Chashm-e-nargis ko di hai binai
Hai hava mei sharab ki tasir
Bada-noshi hai bada-paimai
Kyun no duniya ko ho khushi 'Ghalib'
Shah-e-din-dar ne shifa paai
No comments
Post a Comment